Khudkhushi

zindagi me bahut se pal aise bhi aate hain
sab kuch paraya, begana sa lagta hai
lagta hai ki ye zindagi bemaani hai
koi matlab, ya maksad nazar nahi aata hai

aise me jine ki chah jab khatam ho jaaye
to Khudkhushi bhi ilaaz ban jaati hai
kal tak jo isey galat bolta aaya
aaj uske liye yahi sahi lagne lag jaati hai

kitna kuchh badal jata hai agar kuchh bahut pyara kho jaaye
zindagi bemaani, bekaar si lagne lagti hai
kal tak jisey nafrat karta aaya
aaj wahi Khudkhushi, khushi ban jaati hai

jine ki chah jab khatam ho jaaye
to zindagi tu ek dard banke rah jaati hai
tujse jo kal tak pyaar kiya
aaj wo tujme apna ant talashne lag jata hai
tujse door hoke wo
maut me apne dardon ko khatam kar dena chahta hai

zindagi, tu aisi begaani ho jaati hai
tu har dard, har gam ka karan ban jaati hai
zindagi tujse pyaari to maut ho jaati hai
zindagi tujse pyaari to Khudkhushi ho jaati hai

Comments

Popular posts from this blog

बिल्लो अलविदा (Bella Ciao in Hindi)

IDENTITY ... A fight between me and my thoughts.

Normal I am going to be