Khudkhushi
zindagi me bahut se pal aise bhi aate hain sab kuch paraya, begana sa lagta hai lagta hai ki ye zindagi bemaani hai koi matlab, ya maksad nazar nahi aata hai aise me jine ki chah jab khatam ho jaaye to Khudkhushi bhi ilaaz ban jaati hai kal tak jo isey galat bolta aaya aaj uske liye yahi sahi lagne lag jaati hai kitna kuchh badal jata hai agar kuchh bahut pyara kho jaaye zindagi bemaani, bekaar si lagne lagti hai kal tak jisey nafrat karta aaya aaj wahi Khudkhushi, khushi ban jaati hai jine ki chah jab khatam ho jaaye to zindagi tu ek dard banke rah jaati hai tujse jo kal tak pyaar kiya aaj wo tujme apna ant talashne lag jata hai tujse door hoke wo maut me apne dardon ko khatam kar dena chahta hai zindagi, tu aisi begaani ho jaati hai tu har dard, har gam ka karan ban jaati hai zindagi tujse pyaari to maut ho jaati hai zindagi tujse pyaari to Khudkhushi ho jaati hai