Poet Friend
A friend had written for me one day (he is a very good poet) zindagi hone lagi berang hai kuchh roz se, chehek si dikhti nahi, mujhme kahin ab aajkal. theher sa jaata hun main, thehre samay me jhaankta, josh ab dikhta nahi, mujhme kahin ab aajkal. kuchh samay ki deyn hai, kuch khud ka asmajas bada, raston par jisko thaame, bawajah main ruka pada. kya karoon kuchh naya, achcha kuchh samajh aata nahi, boriyat ka dard hai, jo jaake bhi jaata nahi. ---written by Sujeet Vishwakarma. fitting my present condition perfectly i would like to add something to it: yahan to kuchh aise baatein hain jo bata sakta nahin, kuchh aise gham hain jo dikha sakta nahin ishaaron ishaaron me batane ki baat to chodo yaaron, aansoo ka alfaaz bhi jubaan pe laa sakta nahin. kal tak ajad panchhi tha, mast rahta tha. ab to jindagi sone ke pinjrey me kaid hoke rah gayi hai jisme kaid rahna mujhe suhata nahin, aur pinjra sone ka hai isliye tora jata bhi nahin.